hai bhi kuchh ya ki samak ta-ba-sama kuchh bhi nahin puchha jab jab to yahi aai sada kuchh bhi nahin zindagi lai hai us dasht mein mujh ko ki jahan rah-rau rahguzar rah-numa kuchh bhi nahin jaane kyon aap udhar apne qadam jate hain ki jidhar ghor andhere ke siwa kuchh bhi nahin ek qayamat hai mere jurm se tera ighmaz aah ye kaisi saza hai ki saza kuchh bhi nahin dekhiye to sahi kis waqt zaban hum ko mili jab ki kahne ke liye dil mein raha kuchh bhi nahin