hai iztirab har ek rang ko bikharne ka ki aaftab nahin raat bhar thaharne ka mujassame ki tarah mausamon ko sahta hai wo muntazir hai koi hadsa guzarne ka latakte sukhte ye naqsh yunhi roenge guzar gaya hai jo mausam tha rang bharne ka wo aaine se agar ho gaya hai be-parwa jawaz kya hai use phir kisi se darne ka giregi kal bhi yahi dhup aur yahi shabnam is aasman se nahin aur kuchh utarne ka ab aag aag hai nile pahad ka manzar hamein tha shauq bahut us ke par utarne ka agarche us ki har ek baat khurduri hai bahut mujhe pasand hai dhang us ke baat karne ka diya hai jis ne bhi chup ka sharap lafzon ko use khabar hai nahin lafz koi marne ka hamein khabar hai hamare safar ki ai 'manzur' kahenge hum hi na hai rasta sanwarne ka