hai jaan-e-hazin ek lab-e-ruh-faza do ai kash ki is ek ki ho jaen dawa do tha khar-e-jigar hijr mein tanha gham-e-duri hain aafat-e-jaan wasl mein ab sharm-o-haya do mastana-rawish kyun na chale wo nigah-e-naz aankhen hain ki hain jam-e-mai-e-hosh-ruba do ji tang hai kya kijiye aur josh-e-bala ye dil ek hai kya dijiye aur zulf-e-dota do hai ain inayat jo nishan puchhiye mera ye bhi nahin manzur to apna hi pata do kya dam-e-fareb us ne bichhaya hai dil-awez do aan phansen aur jo ho jaen riha do gar naz-khud-ara ko hai yaktai ka dawa kyun aaina dekha ki hue jalwa-numa do bebaki-o-shokhi bhi hai aur sharm-o-haya bhi do mahram-e-asrar hain to parda-kusha do do gesu-o-do zulf-e-bala-khez hain chaaron han kakul-e-khamdar bhi hain un ke siwa do wo tarz-o-rawish hae wo andaz-o-ada haif kya bachte dil-o-jaan kuja chaar kuja do seri-e-nazar bhi na hui hae mayassar aankhen jo huin chaar lage tir-e-qaza do
Please share if you liked this!!!