hai jo bigdi hui surat meri bimari ki pyar mein mujh se kisi shakhs ne ghaddari ki har taraf khun-kharaba kiya logon ne bapa sher takhliq kiye main ne ghazal jari ki har-nafas sine mein patthar ki tarah lagta hai zindagi mujh pe sitam-kesh ne yun bhaari ki ye alag baat ki har lahza pareshan main hun main ne sachchai ki is par bhi taraf-dari ki main ne har bar haqiqat ki nazar se dekha us ne har bar mere sath adakari ki phul ki misl mahak utthega qarya qarya apne is des ki jab hum ne kaman-dari ki qafile walon ko manzil na mili barson se ye bhi khubi hai teri qafila-salari ki zindagi apne bharose pe guzari main ne waris-e-takht ne kab meri nigah-dari ki is se badlega mere shahr ka sara manzar lahar jo utthi mere shahr mein bedari ki rashk aata hai hamein apne muqaddar pe 'nabil' aal-e-ahmad ki sada hum ne aza-dari ki