hai jo kuchh pas apne sab liye sarkar baithe hain jo chahen aap le jaen sar-e-bazar baithe hain manao jashn manzil par pahunch jaane ka tum lekin khabar un ki bhi lo yaro jo himmat haar baithe hain tu ab us shahr bhi ja kar sukun paega kya aakhir wahan bhi kaun se ai dil tere gham-khwar baithe hain na tu aaya na yaad aai teri ek lambe arse se hazaron kaam hone par bhi hum be-kar baithe hain inhin se nam hai tera na bhul itna ai ye saqi tere maikhane mein ab bhi kuchh ek khuddar baithe hain gae wo waqt kahte the ki itne dost hain apne muqaddar jaaniye achchha agar do-chaar baithe hain kisi bhi waqt aa sakta hai ab paigham bas us ka suna jis waqt se hum ne 'salil' tayyar baithe hain