hai karam us ka ki insan bhi azimushshan hua warna thi kya baat jo nur-e-khuda hairan hua kya kare tarif us ki wo bhi banda-e-khuda jis pe ye zi-ruh kya aalam sabhi nazan hua us ke kun kahne se aalam aur phir kya kya bana aql-e-insani se be-shak raaz ye pinhan hua jab hai sari kaenat us ki ibaadat mein magan to use kya gar jo koi munkir-e-yazdan hua aazmaish to khalilullah ki puri hui baad is ke kaise kaise aadmi qurban hua han wahan hoga mayassar ikhtiyar main na jaanun phir mera kyunkar na kam arman hua zulm insan par musalsal hai kiya kis ne suno murtakib is jurm ka hae ki bas insan hua ai bayaban in darakhshan shahron se thi kya jalan jo teri surat ki manind shahar ye viran hua is tarah shayad salamat ta-qayamat tu rahe ho mubarak ab tera dushman tera darban hua darja-e-uzma pe faez to yahan insaf hai be-qusuron wa be-bason ka muntazir zindan hua yun to hasrat zindagi sari musalman hi raha waqt-e-akhir wo magar main sahab-e-iman hua