hai KHud se KHush-gumani to kisi ka imtihan kyon ho

hai khud se khush-gumani to kisi ka imtihan kyon ho
jahan mein koi bhi 'makhfi' kisi se bad-guman kyon ho

nazar ko shauq bakhsha to sarapa aankh ho jaun
kasafat ki koi chadar hijab-e-darmiyan kyon ho

nahin jis ka makan us ki mohabbat mein jo udta ho
kahin bhi muddaa us ka sukun-e-ashiyan kyon ho

wafa-e-haq ki aadat yun ho jaise sans lete ho
raza ki rah ke rahi ka koi raaz-dan kyon ho

irade ko qad-awar kar balaen munh chhupaengi
rahe phir dhup kaisi hi to koi saeban kyon ho

rag-e-jaan se qarib us ko karo mahsus 'makhfi' to
kahin bhi kyon nahin milta khuda to hai kahan kyon ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close