hai kuchh agar saliqa hai kuchh agar qarina marne ki tarah marna jine ki tarah jina karta hun par dariya tufan ki madad se meri nigah mein hai har mauj ek safina is mein bhi raushni hai us mein bhi raushni thi mera bhi hai wo sina musa ka tha jo sina jis samt sar jhukaun gulshan araq araq ho mahke meri jabin se har phul ka pasina parhez kis liye phir jab rae hai ye sab ki jaez hai ai 'munawar' tum ko sharab pina