hai kya KHizan mein mumkin sahra mein bagh nikle

hai kya khizan mein mumkin sahra mein bagh nikle
zulmat ko jo mitae aisa charagh nikle

shor-e-safir-e-bulbul se gunjta tha kal tak
kyun aaj mere ghar mein rone ko zagh nikle

dagh-e-qamar se aakhir jab aashna hua main
jitne raqib pae in mein na dagh nikle

darta tha main na aae waqt-e-firaq mujh par
kuchh wasl se tere ab haul-e-dimagh nikle

ho justuju mein jis ki hai wo mazar kaisa
kya apni qabr ka tum lene suragh nikle

main thak chuka hun 'naqid' targhib-e-zindagi se
chahun ufuq se aakhir roz-e-faragh nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close