hai meri zist ka sahaara gham jo mila hai mujhe tumhaara gham ambiya par kitab nazil ki aur dil par mere utara gham yar ka gham bhi yar hota hai yar hota nahin khasara gham husn sola singhaar karta hai aur kar aaya hai athaarah gham qalb raushan usi se hai 'alam' hai tajalli ka istiara gham