hai mujh ko andaza khul bhi sakta hai dastak par darwaza khul bhi sakta hai hijr mein tum mohtat raho to behtar hai kyunki zakhm hai taza khul bhi sakta hai sone walon ko malum nahin shayad khwabon ka khamyaza khul bhi sakta hai itna bhi mohtat nahin hota ye dost rukhsaron par ghaza khul bhi sakta hai sannata ab itna bhi be-dard nahin chup par ye aawaza khul bhi sakta hai kaise ishq ka har jaanib ‘mannan-qadir’ bikhra hai shiraaza khul bhi sakta hai