hai nasim-e-subh aawara usi ke nam par bu-e-gul thahri hui hai jis kali ke nam par kuchh na nikla dil mein dagh-e-hasrat-e-dil ke siwa hae kya kya tohmaten thin aadmi ke nam par phir raha hun ku-ba-ku zanjir-e-ruswai liye hai tamasha sa tamasha zindagi ke nam par ab ye aalam hai ki har patthar se takraata hun sar mar dala ek but ne bandagi ke nam par kuchh ilaj un ka bhi socha tum ne ai chaaragaro wo jo dil tode gae hain dilbari ke nam par koi puchhe mere gham-khwaron se tum ne kya kiya khair us ne dushmani ki dosti ke nam par koi pabandi hai hansne par na rona jurm hai itni aazadi to hai diwangi ke nam par aap hi ke nam se pai hai dil ne zindagi khatm hoga ab ye qissa aap hi ke nam par karwan-e-subh yaro kaun si manzil mein hai main bhatakta phir raha hun raushni ke nam par