hai qatl-gah-e-sauq mein khanjar hama-tan-chashm manzar hama-tan-gul gul-e-manzar hama-tan-chashm hai kaun jo aashufta-mizaji ki rakhe laj us ku-e-malamat ke hain patthar hama-tan-chashm kab aaega insaf ka din dawar-e-mahshar ek umr se main hun sar-e-mahshar hama-tan-chashm ye subh to wo subh nahin jis ki talab mein tare sar-e-mizhgan rahe shab bhar hama-tan-chashm ai jaan-e-ghazal tu hai kahan tere liye hai 'khawar' hama-tan-dil dil-e-'khawar' hama-tan-chashm