hai rashk kyon ye hum ko sar-e-dar dekh kar dene hain baada zarf-e-qadah-khwar dekh kar khud-karda-e-azal se tajalli-e-tur ke jhapke ki aankh kya teri talwar dekh kar aasan-pasandiyon se hain bezar ahl-e-ishq chhanta ye marhala bhi hai dushwar dekh kar ban jaega ye rishta-e-tasbih ek din dhoka na khaiyo kahin zunnar dekh kar is shan-e-imtiyaz ko ki ahal-e-tahaif momin samajh rahe hain hamein khwar dekh kar jins-e-giran to thi nahin koi magar ye jaan lae hain hum bhi raunaq-e-bazar dekh kar tir-e-nigah ne kar diya donon ka faisla baham dil-o-jigar mein ye takrar dekh kar ye kya ki sajda-gah hai har sang-e-astan ghisna jabin ko ko khana-e-khammar dekh kar kuchh bhi to zabt-e-girya na shabnam se ho saka bulbul ko fasl-e-gul mein giraftar dekh kar hum khasgan-e-ahl-e-nazar aur ye qatl-e-am jaur-o-sitam bhi kar tu sitamgar dekh kar har sina aaj hai tere paikan ka muntazir ho intikhab ai nigah-e-yar dekh kar