hai soz-e-dil se saman raushni ka

hai soz-e-dil se saman raushni ka
ye hasil kam nahin dil ki lagi ka

wahi rahen akeli aaj phir main
bharam sab mit gaya hai dosti ka

ye tanhai ye aazadi ka aalam
maza aane laga hai zindagi ka

jahan dil mein simatte ja rahe hain
tamasha ho raha hai be-khudi ka

hazaron saz dil mein baj rahe hain
asar hone laga hai bandagi ka

hamari aad le kar chhup rahe ho
khula sab raaz ab parda-dari ka

farishton se bahut upar hai insan
bhala jo chahta hai har kisi ka

tamanna hi rahi na 'shauq' koi
asar achchha hua aawargi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close