hai wahi naz-afrin aaina-e-niyaz mein jis ki ziya hai soz mein jis ki sada hai saz mein apne niyaz-mand hai parde ki rasm-o-rah hai warna hijab ko kahan dakhl harim-e-naz mein sajde mein mar gaya agar phir na uthega hashr tak qaid na rakhiye waqt ki mere liye namaz mein naz ko nur kar diya sarwar-e-kainat ne wo jo lagi thi tur par aa ke bujhi hijaz mein 'natiq' sokhta-jigar dil pe to hath rakh zara ab ke bhi kuchh chamak si thi nala-e-jaan-gudaz mein