hai zulf-e-shab ki tamanna tere shabab ka rang jo dekh le to badal jae mahtab ka rang teri nigah ki ye kaif-bariyan tauba bhara hua teri aankhon mein hai sharab ka rang ayan hua hai mohabbat ki dastan ban kar kisi ke chehra-e-pur-nur par hijab ka rang hai un ki chasm-e-tajahul ki kar-farmai badal gaya jo meri zist ki kitab ka rang dil-e-hazin pe na puchho guzar gai kya kya nigah-e-husn mein dekha jo ijtinab ka rang ye rang-o-bu-e-chaman aarzi hain yun 'ahmad' ki sath-e-ab pe jis tarah ek habab ka rang