haibat-e-husn se alfaz ki hairani tak baat pahunchi thi abhi chand ki peshani tak aap kya dirham-o-dinar liye phirte hain hum to thukra bhi chuke takht-e-sulaimani tak wasl ke qisse to tamhid hain sunte rahiye baat pahunchegi abhi quwwat-e-imani tak qissa-e-rafta mukammal nahin hoga warna zikr jari rahe aqdar ki arzani tak aap mohsin hain magar khel ki majburi hai dil to aata hi nahin rah mein sultani tak us ne kuchh soch ke sahra ki taraf mod diya pyas bas pahunchne wali thi abhi pani tak dafatan waqt ne raftar badha di warna bhagta main bhi raha ek had-e-imkani tak