hain ashk meri aankhon mein qulzum se ziyaada hain dagh mere sine mein anjum se ziyaada sau ramz ki karta hai ishaare mein wo baaten hai lutf khamoshi mein takallum se ziyaada juz sabr dila chaara nahin ishq-e-butan mein karte hain ye zulm aur tazallum se ziyaada mai-khane mein sau martaba main mar ke jiya hun hai qulqul-e-mina mujhe qum-qum se ziyaada sau raqs se afzun hai pari-ru teri raftar panw ki sada lakh tarannum se ziyaada taklif-e-takalluf se kiya ishq ne aazad mu-e-sar-e-shorida hain qaqum se ziyaada mashuqon se ummid-e-wafa rakhte ho 'nasikh' nadan koi duniya mein nahin tum se ziyaada