hain bahut mehrbaniyan teri yaad hain qadr-daniyan teri mere jine ke do sahaare hain teri yaaden nishaniyan teri khud ko paya hai panne panne par padh raha tha kahaniyan teri ek din hum ko mar dalengi yahi nazuk-bayaniyan teri ro pada hun main dekh kar phir se apne andar nishaniyan teri