hain ek saf mein qalandar bhi main bhi duniya bhi sitam-zada bhi sitamgar bhi main bhi duniya bhi khuda ke nam pe kya kya fareb dete hain zamana-saz ye rahbar bhi main bhi duniya bhi wo ek lamha ki hum sab lipat ke roe the udas raat ka manzar bhi main bhi duniya bhi duaen mangte rahte hain tujh se milne ki udas udas mera ghar bhi main bhi duniya bhi safar pe nikle to akasr bhatak gae jaanan tumhaari yaad ke lashkar bhi main bhi duniya bhi ghazal ke sanche mein dhalte hain tut jate hain wafa ki rah ke patthar bhi main bhi duniya bhi juda juda hain magar phir bhi sath hain 'mansur' mohabbaton ke samundar bhi main bhi duniya bhi