hain lazzat-e-hayat to kuchh talKHiyan bhi hain

hain lazzat-e-hayat to kuchh talkhiyan bhi hain
hansne ke sath sath yahan siskiyan bhi hain

aankhon ke raste se nikalte hain ranj-o-gham
achchha hai is makan mein kuchh khidkiyan bhi hain

kahte hain log tujh ko gul-e-bad-nasib bhi
sunti hun justuju mein teri titliyan bhi hain

tufan bhi shabab pe aane laga idhar
betab dubne ko idhar kashtiyan bhi hain

chheda na kijiye mujhe main aisi shama hun
daman bacha ke jis se chalen aandhiyan bhi hain

aatish-fishan se dur raha kar zara 'suman'
suraj ke pas dekh kahin bastiyan bhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close