hairaten KHatm huin sehr-e-tamasha TuTa

hairaten khatm huin sehr-e-tamasha tuta
aao ab laut chalen qufl nazar ka tuta

jagte jagte kuchh waqt laga hai hum ko
tutte tutte ek umr ka nashsha tuta

ab to itna bhi nahin koi batane wala
kab ye diwar giri kab ye daricha tuta

koi chikha tha mere jism ke andar ek bar
phir na patthar koi aaya na hi shisha tuta

main na kahta tha tera mera hai rishta nazuk
aankh ke ek ishaare hi se dekha tuta

noch kar phenk den ye khwab yahi behtar hai
warna kis kis ko bataenge ki kya kya tuta

wo jo bachcha hai ladakpan se mere sath 'ziya'
us ke hathon mera har ek khilauna tuta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close