ham-nashin teri shikayat se ji Darta hai

ham-nashin teri shikayat se ji darta hai
tere andaza-e-jazbaat se ji darta hai

ahd-e-mazi ki koi baat na dohra ai dost
apne guzre hue lamhat se ji darta hai

ab ke phir mujh se na ho rang-e-bahaaran mayus
apni be-rangi-e-jazbaat se ji darta hai

ai falak mujh pe to ehsan bahut hain tere
han magar teri riwayat se ji darta hai

bhar na den jazba-e-sada mein tamanna ka ye rang
apne rangin khayalat se ji darta hai

jam-o-mina pe bhi pahre hain zaban par bhi muhr
mohtasib teri isi baat se ji darta hai

pahle ayyam basar hote the be-khauf-o-khatar
is zamane mein to din raat se ji darta hai

kal tha raftar-e-jahan se na badalne ka gila
ab badalte hue haalat se ji darta hai

chaunk utthen na sulae hue jazbaat 'nasim'
kale baadal bhari barsat se ji darta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close