ham-nashin un ke taraf-dar bane baithe hain mere gham-khwar dil-azar bane baithe hain baat kya un se karun un ke uthaun kyun-kar muddai bich mein diwar bane baithe hain na-tawani ne udhar panw pakad rakkhe hain wo nazakat se giran-bar bane baithe hain kya buri shai hai mohabbat bhi ilahi tauba jurm-e-na-karda khata-war bane baithe hain bewafai ke gile jin ke hue the kal tak aaj duniya ke wafadar bane baithe hain wo hain aur ghair hain aur aish ke saman 'zahir' hum alag sab se gunahgar bane baithe hain