hamara aaina be-kar ho gaya to phir! tumhaara husn trahdar ho gaya to phir! mila ke khak mein wo sochta raha barson main aaine mein numudar ho gaya to phir! rukawaten to safar ka jawaz hoti hain ye rasta kahin hamwar ho gaya to phir! wo mahtab hai, main jhil aur safar darpesh wo mujh se hota hua par ho gaya to phir, tamam shahr ne lauta diya hai khali hath aur us ke dar se bhi inkar ho gaya to phir! to kyun na rasta tabdil kar liya jae kahin jo mujh se tumhein pyar ho gaya to phir!