hamara ashk nahin hai ye qadr-e-gauhar hai shikast zabt na kahiye use ye jauhar hai usi ne dhoe hain daman ke dagh ai hamdam usi ka aaj bhi patthar ke dil mein kuchh dar hai hadis-e-ranj-o-alam se dara na ai naseh hadis-e-ranj-o-alam hi to aaj ghar ghar hai khudaya is se zyaada hua to kya hoga nizam-e-zist bahut aaj-kal mukaddar hai sar-e-niyaz ki jis ko sada talash rahi agar mile jo muqaddar se aap ka dar hai tumhaare jalwe pe mauquf hai nizam-e-hayat agarche tur ka qissa mujhe bhi azbar hai fareb kha ke bhi wadon pe eatibar ai 'nur' ajab shuur-e-wafa tera mere dilbar hai