hamara nam pukare hamare ghar aae ye dil talash mein jis ki hai wo nazar aae na jaane shahr-e-nigaran pe kya guzarti hai faza-e-dasht-e-alam koi to khabar aae nishan bhul gai hun main rah-e-manzil ka khuda kare ki mujhe yaad-e-rahguzar aae main aandhiyon mein bhi phulon ke rang padh lungi tere badan ki mahak laut kar agar aae ghubar gham ka dayar-e-wafa mein udta hai magar ye ashk bahut kaam chashm-e-tar aae safar ka rang hasin qurbaton ka hamil ho bahaar ban ke koi ab to ham-safar aae nai sahar ka main 'gulnar' istiara hun faza-e-tira-shabi khatm ho sahar aae