hamare bas mein kya hai aur hamare bas mein kya nahin jahan-e-hast-o-bud mein kisi pe kuchh khula nahin huzur-e-khwab der tak khada raha sawer tak nasheb-e-qalb-o-chashm se guzar tera hua nahin nazar mein ek charagh tha badan mein ek bagh tha charagh o bagh ho chuke koi riha raha nahin ujad gain haweliyan chali gain saheliyan dila teri qabil se koi bhi ab bacha nahin hawas ki razm-gah mein badan ki kar-gah mein wo shor tha ki dur tak kisi ne kuchh suna nahin na jaane kitne yug dhale na jaane kitne dukh pale gharon mein handiyon tale kisi ko kuchh pata nahin wo ped jis ki chhanw mein kati thi umr ganw mein main chum chum thak gaya magar ye dil bhara nahin