hamare haal-e-zabun par tu muskuraya bhi tha

hamare haal-e-zabun par tu muskuraya bhi tha
zarur apni safon mein koi paraya bhi tha

mohabbaton mein nae tajrabe zaruri hain kya
hamein to pichhle baras tum ne aazmaya bhi tha

meri sahar sitam-e-shab se be-khabar to na thi
falak ki aankh mein ek ashk dabdabaya bhi tha

tujhe pahan ke ruten ab ke surkh-ru bhi huin
teri hansi ne bahaaron ko gudgudaya bhi tha

jala hun dohri tarah dopahar ke suraj mein
ki mere panw ke niche to mera saya bhi tha

bithae rakkha raqibon ko jis ishaare se
usi mein uthne ka apne liye kinaya bhi tha

sitam ke daur ki 'ejaz' khubiyan to na bhul
ki aamiron ke dilon mein gham-e-reaya bhi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close