hamare samne begana-war aao nahin niyaz-e-ahl-e-mohabbat ko aazmao nahin hamein bhi apni tabahi pe ranj hota hai hamare haal-e-pareshan pe muskurao nahin jo tar tut gae hain wo jad nahin sakte karam ki aas na do baat ko badhao nahin diye khulus-o-mohabbat ke bujhte jate hain garan na ho to hamein is qadar satao nahin dil-o-nigah ko kab tak koi bichhae rahe ye dekh kar ki udhar se koi jhukaw nahin ye aur baat hai kanton mein ji bahal jae nahin ki lala-o-gul se mujhe lagaw nahin