hamare sar pe ye aksar ghazab hota hi rahta hai lahu ummid ka hum se talab hota hi rahta hai nikalti hi nahin dil se kabhi yaaden mohabbat ki sitam us dil pe apne roz-o-shab hota hi rahta hai purane log rahte hain nigahon mein sada meri koi pesh-e-nazar nam-o-nasab hota hi rahta hai koi surat tabahi ki nikalti rahti hai aksar ujadne ka koi taza sabab hota hi rahta hai hamesha khun karte hain hamari aarzuon ka tamannaon ka nazrana talab hota hi rahta hai ye ladna aur jhagadna hai sabhi mamul ki baaten khafa hum se wo aksar be-sabab hota hi hota hai sitaron ki taraf uthti hi rahti hai nazar apni shab-e-tarik mein aisa to sab hota hi rahta hai qayamat hoti rahti hai bapa ab shahr mein har-su yahan mahshar bapa ai dost ab hota hi rahta hai sukhan pamal hota hai 'nabil' is ahd mein har pal yahan pamal har lamha adab hota hi rahta hai