hamari aankh ne dekhe hain aise manzar bhi gulon ki shakh se latke hue the khanjar bhi yahan wahan ke andheron ka kya karen matam ki is se badh ke andhere hain dil ke andar bhi abhi se hath mahakne lage hain kyun mere abhi to dekha nahin hai badan ko chhu kar bhi kise talash karen ab nagar nagar logo jawab dete nahin hain bhare hue ghar bhi hamari tishna-labi par na koi bund giri ghataen ja chukin chaaron taraf baras kar bhi ye khun rang-e-chaman mein badal bhi sakta hai zara thahar ki badal jaenge ye manzar bhi 'ali' abhi to bahut si hain an-kahi baaten ki na-tamam ghazal hai tamam ho kar bhi