hamari chah sahab jaante hain kahun kya aah sahab jaante hain jalana aashiqon ka jaan ai jaan qayamat wah sahab jaante hain bhala dene ki zulfon mein dilon ko nirali rah sahab jaante hain tumhaari mast aankhon se hai be-khud jise aagah sahab jaante hain tumhaare mukhde ki zarra jhalak hai ki jis ko mah sahab jaante hain milo hum se wagarna phir kisi roz kabhi nagah sahab jaante hain 'muhib' be-tarah kuchh tum se kahega wahi tir aah sahab jaante hain