hamari gham-e-ashiqi gar waba hai

hamari gham-e-ashiqi gar waba hai
to kya phir tere pas koi dawa hai

teri yaad kal raat phir aise guzri
ki jaise guzarti ye pagal hawa hai

hamein bhi bata na hamari tarah phir
kise teri afsurdagi ka pata hai

gila kya karen chhod jaane bhi de ab
rahe tu bulandi pe meri dua hai

tujhe kya khabar teri naraazgi ne
raza-mandi ko kaise kaise chhua hai

ab ukta rahe hum bhi hain aashiqi se
aur is par tera shahar bhi narawa hai

khizan ka ye mausam ye bechaini 'hamid'
yahi teri sada-dili key saza hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close