hamari yaad unhen aa gai to kya hoga ghata idhar ki udhar chha gai to kya hoga abhi to bazm mein qaem hai do dilon ka bharam nazar nazar se jo takra gai to kya hoga dhadak raha hai sar-e-sham hi se dil kam-bakht visal-e-yar ki subh aa gai to kya hoga ye sochta hun ki dil ki udas galiyon se tumhaari yaad bhi katra gai to kya hoga surur aa gaya rindon ko dekhte hi subu jo mai-kade pe ghata chha gai to kya hoga wo baat jis se dhuan uth raha hai sine se wo baat lab pe agar aa gai to kya hoga wafa ka dam na bharo dosto tum 'aslam' se tumhein jo waqt pe jhutla gai to kya hoga