hamari zat ke jab dar khule hain kabhi andar kabhi bahar khule hain hamare ghar mein wo apnaiyat hai wahan aa kar kai be-ghar khule hain khizaon mein jo dube the to hum par bahaaron ke hasin manzar khule hain ba-zahir wo bahut hi kam sukhan the kitabon mein magar jauhar khule hain jo baalon mein safedi aa gai hai to phir ja kar kahin khud par khule hain