hamein junun diya aur tu hosh-mand hua isi qarin se yaram tu sar-buland hua hamara naghma samaat pe kyon garan guzra ki tera zahr-e-halahal hamein to qand hua jo ja nikalte the gahe teri gali ki taraf ye jashn-e-chashm bhi muddat hui hai band hua ye kaj-kulah teri bargah ka baj-guzar ki us ka tir tere hath ki kamand hua use hai ras ye daim mera ruku-o-sujud meri raza se wo but khub bahra-mand hua