hamein to gosha-nashin aur jahan bhi hona hai yahan bhi hona hai hum ko wahan bhi hona hai nishan bhi hai lagana nishan bhi hona hai makan mein rahte hue la-makan bhi hona hai is ehtiyat se karna hai zindagi apni akela chalna hai aur karwan bhi hona hai zamin mein rakhte hain paiwast apni duniya ko zamin pe rahte hue aasman bhi hona hai ek aisi qaid bhi ab khud pe yun lagani hai zaban rakhte hue be-zaban bhi hona hai