hamein to sahil-e-dariya ki pyas hona tha

hamein to sahil-e-dariya ki pyas hona tha
sukut-e-hijr ka ek gham-shanas hona tha

khula hai is tarah ab ke nai ruton ka bharam
zamin ko itna kahan be-libas hona tha

unhen bhi waqt ne patthar bana diya jin ko
hamare ahd ka aadam-shanas hona tha

pahan ke mujh ko ek roz tamanna ka libas
lahu lahu koi taswir-e-yas hona tha

bhatak rahe ho kahan dost apne markaz se
tumhein to 'faiz' ke dil ke hi pas hona tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close