hamesha tang raha mujh pe zindagi ka libas

hamesha tang raha mujh pe zindagi ka libas
kabhi khila na mere jism par khushi ka libas

hasin phulon ki sohbat mein aur kya hota
ulajh ke rah gaya kanton mein zindagi ka libas

jo jal gaya hai wahi jaanta hai apni jalan
kisi ke jism pe atta nahin kisi ka libas

ye kya sitam kiya tum ne to chaak kar dala
zara zara sa masakna tha dosti ka libas

sambhal sambhal ke chalo ehtiyat se pahno
bade nasib se milta hai aadmi ka libas

libas-e-dar se mujh ko darane walo suno
pahan ke aaj main aaya hun khud-kushi ka libas

wo ek faqir tha jis ne utar phenka tha
safed-poshon ke munh par tawangari ka libas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close