hamesha zulm ke manzar hamein dikhae gae pahad tode gae aur mahal banae gae tulu-e-subh ki afwah itni aam hui ki nisf shab ko gharon ke diye bujhae gae ab ek bar to qudrat jawab-dah thahre hazar bar hum insan aazmae gae falak ka tantana bhi tut kar zamin pe gira sutun ek gharaunde ke jab girae gae teri khudai mein shamil agar nasheb bhi hain to phir kalim sar-e-tur kyun bulae gae ye aasman the ki aaine the khalaon mein mah-o-nujum mein jhanka to hum hi pae gae daraaz-e-shab mein koi apna ham-safar hi na tha magar 'nadim' sadaen to hum lagae gae