hamin se apni nawa ham-kalam hoti rahi ye tegh apne lahu mein niyam hoti rahi muqabil-e-saf-e-ada jise kiya aaghaz wo jang apne hi dil mein tamam hoti rahi koi masiha na ifa-e-ahd ko pahuncha bahut talash pas-e-qatl-e-am hoti rahi ye barhaman ka karam wo ata-e-shaikh-e-haram kabhi hayat kabhi mai haram hoti rahi jo kuchh bhi ban na pada 'faiz' lut ke yaron se to rahzanon se dua-o-salam hoti rahi