han jise aashiqi nahin aati lazzat-e-zindagi nahin aati jaise us ka kabhi ye ghar hi na tha dil mein barson khushi nahin aati jab se bulbul asir-e-dam hui kisi gul ko hansi nahin aati sab sharabi mujhe kahen tujh ko sharm ai be-khudi nahin aati yun to aati hain saikdon baaten waqt par ek bhi nahin aati sochta kya hai pi bhi le zahid kuchh qayamat abhi nahin aati intiha gham ki is ko kahte hain zakhm ko bhi hansi nahin aati kaundti hai hazar rang se barq phir bhi shokhi teri nahin aati sarf jab tak na khun-e-dil ho 'jalil' rang par shaeri nahin aati