han ye taufiq kabhi mujh ko khuda deta tha nekiyan kar ke main dariya mein baha deta tha tha usi bhid mein wo mera shanasa tha bahut jo mujhe mujh se bichhadne ki dua deta tha us ki nazron mein tha jalta hua manzar kaisa khud jalai hui shamon ko bujha deta tha aag mein lipta hua hadd-e-nazar tak sahil hausla dubne walon ka badha deta tha yaad rahta tha nigahon ko har ek khwab magar zehn har khwab ki tabir bhula deta tha kyun parindon ne darakhton pe basera na kiya kaun guzre hue mausam ka pata deta tha