hansate hain mujhko rulane se pahle

hansate hain mujh ko rulane se pahle
banane ki koshish mitane se pahle

riha ho ke ab kya gulistan ko jaun
khizan aa gai mere aane se pahle

talatum se zor aazmana padega
safine ko sahil pe lane se pahle

na ban jae ummid mayus gham ko
koi soch le muskurane se pahle

na puchh un ki makhmur nazron ka aalam
sahaara mila ladkhadane se pahle

na ye bijliyan thin na ye aandhiyan thin
hamare nasheman banane se pahle

zara apne dil ke taqaze to samjho
mere dil ki duniya mitane se pahle

mere dil ki be-tabiyan rang lain
wo khud aa gae yaad aane se pahle

na ye dilkashi thi na ranginiyan thin
'said' un ke tashrif lane se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close