hansi hansi mein har ek gham chhupane aate hain

hansi hansi mein har ek gham chhupane aate hain
hasin sher hamein bhi sunane aate hain

hamare dam se hi aabaad hain gali-kuche
chhaton pe hum hi kabutar udane aate hain

daricha khol diya tha tere khayalon ka
hawa ke jhonke abhi tak suhane aate hain

visal hijr wafa fikr dard majburi
zara si umr mein kitne zamane aate hain

hasin khwabon se milne ko pahle sote the
ki ab to khwab bhi ninden udane aate hain

'rais' khidkiyan sari na kholiye ghar ki
hawa ke jhonke diye bhi bujhane aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close