hansi ki baat ki usne wahan bula ke mujhe

hansi ki baat ki us ne wahan bula ke mujhe
bahut rulaya kahani meri suna ke mujhe

har ek lamha mera khauf ki giraft mein hai
muhafizon se bachaega kaun aa ke mujhe

kalam-e-fan se liya kaam us ne mujh se bhi
tabah apne adu ko kiya bacha ke mujhe

wo bagh bagh hua hai to be-sabab bhi nahin
mila hai kuchh to use khak mein mila ke mujhe

tumhein khabar hai ki sar par padegi rakh tere
uda diya hai faza mein jo yun jala ke mujhe

use banaya tha main ne badi hi mehnat se
khuda gawah ki wo bhi chala bana ke mujhe

use kaho ki hain hazir mazid dukh de le
bahut sukun mila hai agar sata ke mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close