hansi labon se chaman se gulon ko chhina hai

hansi labon se chaman se gulon ko chhina hai
is eqtidar ne kitnon ka ghar ujada hai

har ek kucha-o-bazar khun se hai rangin
hamare shahr mein pani se khun sasta hai

hain jitne phul wo sab hain nazar churae hue
chaman mein apna rafiq ek khar tanha hai

khulus pyar ki ab chandni kahan logo
har ek dil pe musallat yahan andhera hai

nigah padti hai us par to hosh udte hain
sharab to wo nahin hai sharab jaisa hai

guzar rahe hain ye kis daur se khuda jaane
har ek lamha naya inqalab lata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close