hansi mein tal to deta hun aksar magar main khush nahin barbaad ho kar koi marta nahin zabt-e-fughan se zara sa dagh pad jata hai dil par likhi hai reg-e-sahil par jo main ne wo chitthi padh nahin sakta samundar jahan hum hain wahan sab daere hain kisi ka koi markaz hai na mehwar mujhe jaana hai wapas baadalon mein nahin hona mujhe qatre se gauhar mujhe kuchh der rukna chahiye tha wo shayad dekh hi leta palat kar